
[Hassan's Viewpoint]
Topic : Jis Shaan Say Wo Maqtal Main Gia Wo Shaan Slamat Rehti Hai
(Today i will write in urdu to give my expressions more clearly)
Shaheed hai aur kahlata hai ghazi
shaid hi kisi ko yeh shaan Allah nay nawazi
khoon k piasay yah hukmran jo sirf bandooq ki zuban jaatnay hain 9/11 k baad ki sortahaal ho jab apnay hi pallay hoay bachon ko kutton k aagay daal diya jay ya akbar bugti jis k khilaaf baghair kisi case k operation kar k maar diya jay,chahay bajoor ho jahan apnay hi bahan bhaion ko america k through marwa diya jay,chahay karachi ki gallian hoon jahan din diharay 1 jammat ko qatl-e-aam ki ijazat di jay
chahyay north waziristan ho jahan apnay hi fauji jawan marwa diyay jain jin ki tadad afghanistan main american fauj ki halakaton say kahin zada hai tamam shobon say talluk rakhnay walay is baat ko tasleem kartay hain k jitni khoon ki holi govt. k is dor main khaili gai kabhi aur kahin aisa nahi hoa
shaid hamaray hukmaranon k maun ko khoon lag chuka hai mera nahi khiyaal tha k wo is had tak gir jain gay
1)Gahzi sahab 1st day say media ko ander dawat day rahay thay agar wo ghalt hotay tu aisa kartay?
2)koi 1 authentic source Govt. k paas nahi k ander loog hostages thay aaj jo larkian bahir aain un main say saron k paas wasshihatain thin aur wo ro rahin thin k ham nay bhi shaheed hona hai
3) Aaj 1 MNA of MMA nay kaha k agar tu koi Lal Masjid say Ghair mulki nikal aya tu mujhay goli maar daina koi zamidar aisa kah sakta hai?
4)kia waja thi k Ch. Shujaat aur Ulema main Muzakrat ho gay but Aiwan-e-sadar say yah manzooor nhi hoa
[b][Conclusion]
[/b]1)Mush ko is saray dramay say western media,america aur EU say full time support milli jo isko is waaqt zarorat thi
2)Mush nay yah show kia west ko jo ab Benazir ko lana chahta hai k main Benazir say zada liberal hoon
3)CJ k issue say logon ki attention ko divert kar diya kion k election buhat kareeb hain
4)Hamaray Mush sahab ka yah kahna k "main tu rahon ga" pharon aur namrood k daawon say kam nahi wo is maksad k liay kuch bhi kar sakta tha
5)curfew ka bahana bana kar media ko coverage say rook kar Govt. nay buhat say logon ki aakhon main dhool jhoknay ki koshish ki
in sab baton k maray paas tu 1 hi jawab hai military ki training main hai k apni baat say hatna nakaami hai aur democracy mashwaray aur compromise ka naam hai aur is waqt hamari military mulk ko rule kar rahi dunya ka aur koi bhara mulk nhi jis ko military rule kar rahi ho y?
yah baat main daway say kah sakta hoon kal aur kai Abudulrasheed Ghazi paida hoon gay
1 comment:
jan... abdul ghazi waz not a true mujhaid.. he has no mission at all. till at the end he demand his life n a "save passage" but govt. couldnt let a culprit go..... n so at the end so-called molana was also a hostage by the forign millitents... thst very true because when the the troops took over him n gave hm da last warning he wantd to surrender bt hs
"companions" did let him go so he died in cross fire..thts wht i think..!
Post a Comment